Wednesday 30 June 2010

Thinking?

unse paaya hai aaj kya maine,
jo muskurahat ko kapde ki tarah hain pehne...

kya unko main apna bulau?
ya phir paraya maan jau?

bulane par kabhi woh aaye nahi...
kuch burra maane? yeh bhi bataye nahi...

phir yehi sochta hoon main...

unse paaya hai aaj kya maine,
jo muskurahat ko kapde ki tarah hain pehne...

dikhne par khush nazar aate hain sabko...
par na jaane kya dard satata hai unko?

ki apna bulake bhi batate nahi...
darta hoon khona do unhe kahi...

phir yehi sochta hoon main...

unse paaya hai aaj kya maine,
jo muskurahat ko kapde ki tarah hain pehne...

lekin sahi mayno mein kya unse kuch chahiye mujhe?
shayad yehi ki unke chehre ki muskurahat kabhi na bujhe...

woh ho na ho aas paas kahi bhi...
mujhe khushi mile sirf mujhse hi...

phir shayad yeh na sochunga mein...

unse paaya hai aaj kya maine,
jo muskurahat ko kapde ki tarah hain pehne...



Not thinking of any person as such... just random thoughts... bound by words...